Saturday, November 5, 2011

Dosti-50






Wo Jo Badla Tu Roobroo Hum Bhi Badal Gy
Wafa Ki The Us Se Bandgi Tu Nahi
Zindgi Tu Faqt U He Kut Jay Ge,
Hasrt-E-Zindgi Tha Wo
Shart-E-Zindgi Tu Nahi.

Dosti-49




Chirag-e-Shab Ko Jese
Aandhiya’n Achi Nahi Lagti’n
Kuch Aise Hi Humei’n
Khush-Fehmiya’n Achi Nahi Lagti’n
Jinhe’n Sonay k Pinjrey Mein
Ghiza Mil Jaye Chaandi Ki
Unhei’n Phir Umr Bhar
Aazadiya’n Achi Nahi Lagti’n
Wo Jin K Dil Mein Fasl-e-Gham
Ne Derey Daal Rakhy Hon
Unhe’n Phoolo’n Pe Bethi Hui
Titliya’n Achi Nahi Lagti’n
Mera Dil Chahta Hy Unhe’n
Aaena Dikhao’n MOHSIN
Wo Jin Ko Doosro’n Ki
Khoobiya’n Achi Nahi Lagti’n … !!!

Dosti-48




wo jate jate apni ahat de gaye
in soyi akhome apna sapna de gaye
rahat milti thi unke anese
fir bhi wo tanha kar gaye…..

Dosti-47


Mein Bhool Jaoon Tumhein Ab Yehi Munasib Hai,
Gar Bhulna Bhi Chahoon To Kis Tarah Bhuloon?
K Tum To Phir Bhi Haqeeqat Ho Koi Khwab Nahi,
Yahan To Dil Ka Ye Aalam Hai Kya Kahoon
Bhula Saka Na Ye Wo Silsila, Jo Tha He Nahi,
Wo Aik Khayal Jo Awaz Tak Gaya He Nahi,
Wo Aik Baat Jo Mein Keh Nahi Sake Tum Se,
Wo Aik Rabt Jo Hum Mein Kabhi Raha He Nahi,
Mujhe Hai Yaad Wo Sab Jo Kabhi Hua He Nahi,
Agar Ye Haal Hai Dil Ka To Koi Samjhaye,
Tumhein Bhulana Bhi Chahoon To Kis Tarah Bhuloon?

Dosti-46

Bheegi AankhOn WaLi Larki
Meri Taraf Jab Daikhti Hai Tu
Mann Main JaL ThaLL Kar Jati Hai
Mujh Ko PagAL Kar Jati Hai.

Dosti-45





Suno … !
”MOHABBAT” Yun Nahi Hoti
Kisi Ka “NAAM” Lene Se
Kisi Ko “THAAM” Lene Se
Kisi k “PAAS”Jane Se
Kisi k “DUUR” Jane Se
MOAHBBAT Ka Janam Nahi Hota
Jab Tak Dilo’n Ka “MILAN” Nahi Hota
Suno … !
“MOHABBAT” Yun Nahi Hoti
Ye “RABTA” Hy Dil Se Dil Ka
Ye “NAAM” Hy Betarteeb
“DHARKANO’N” Ka
MOHABBAT Tou Aankho’n Se
“BAYAN” Hoti Hy
Ye Tou Dil Ki “ZUBAAN” Hoti Hy
Suno .. !
“MOHABBAT” Yun Nahi Hoti … !

Dosti-44




Uski mohabbat ka abhi nishan baki hai
Naam hothon par hai, Jaan abhi baki hai
Kya hua agar dekh kar muh pher leta hai
Tasalli toh hai ki Chehre ki pehchaan abhi baki hai

Dosti-43





Bus itna jan lo ek shakhs say hum nay mohobbat ki,
Hmaray tootnay ka khel piyaray tum na samjho gay…….!

Dosti-42




Ishq Ne hame Benam kar Diya
Har Khushi se Anjan Kar diya
Hamne Khbhi Nahi chaha Ki Hame Ishq Ho
Par unki Ek Nazr ne Hume Nilam Kar Diya

Dosti-41




GALTI MERI THI”
Usne mujhe chaha hi nahi’
Main chahat samajh bethi.
.
“GALTI MERI THI”
.
Uski pal bhar ki muskurahat ko piyar samjh baithi
.
“GALTI MERI THI”
.
Wo to har baat par haan karta tha
Main hi iqraR samjh baithi
.
“GALTI MERI THI”
.
Usne mujhse ziyada ehmiyat di mere doston ko
Main uski ye ada mazakh samjh baithi
.
“GALTI MERI THI”
.
Usne kaha bhi tha koi or hai meri zindagi mE
Main hi khud ko uski zindagi samajh baithi
.
“GALTI MERI THI’

Dosti-40



When You fall in Love with someone,
Don’t think just start enjoying it.
Because after some time.
You will not be in position to enjoy anything.

Dosti-39




Haqiqat Ho Tum Kaise Tujhe Sapna Kahun
Tere Har Dard Ko Mein Apna Kahun
Sab Kuch Qurban Hai Mere Yaar Par
Koan Hai Tere Siwa Jise Mein Apna kahon

Dosti-38



Aaj mosam mein kuch ajeeb si baat he,
bekabu se hamare jazbat he,
ji cahta he tumko chura le tumhi se,
par mummy kehti he ki chori karma buri baat he

Dosti-37



Main uske chehre ko dil se utar deti hoon,
Main kabhi kabhi to khud ko bhi mar deti hoon,
Ye mera haq hai ke main usko thora dukh b doon,
Main chahat bhi to use beshumar deti hoon.
Khafaa woh reh nahin sakta lamha bhar bhi,
Mein bohat pehle hi us ko pukaar leti hoon.
Mujhe siwa uske koi bhi kaam nahin soojhta,
Woh jo bhi karta hai, mein sab hisaab leti hoon.
Woh sabhi naaz uthaata hai mein jo bhi kehti hoon,
Woh jo bhi kehta hai, Mein chupke se maan leti hoon.

Dosti-36



nazar se door reh kar bhi kisi ki soch main rehna…
kisi ke pass rehne ka tarika ho to aisa ho………..

Dosti-35







Kuch Khaas Dilon Ko Ishq K Ilham Hotay hain
Mohabbat Moajza Ha Moajzay Kab Aaam Hotay Han!!!!

Dosti-34





Aik Pal Ka Ehsas Bankar Ate Ho Tum
Dosre Hi Pal Khuwab Bankar Ur Jate Ho Tum
Janty Ho K Lagta Hain Dar Tanhaiyo se
Phr Bhi Bar Bar Tanha Chor jate ho Tum.

Dosti-33



Yaad aaoun to bus itni si Inayat krna,
Apne badle hue Lehje ki wazahat krna,
Tum to chahat ka shah’kar hua krte thy,
Kis se sikha hai ye Mohbat me milawat krna…

Friday, October 14, 2011

My Best Friends



Nice Dost ?HATH? aur ?ANKH? ki tarah hote hain,
jab ?HATH? ko taqleef hoti hai to ?ANKH? roti hai,
aur jab ?ANKH? roti hai to ?HATH? anso poonchta hai.

Thursday, October 13, 2011

Dosti-32





Ye Dost B Ajeeb Hotay Hain,
Denay Pay Aaen To Jan Day Dain,
Lenay Pay Aaen To Hansi Tak Cheen Lain,
Kehnay Pay Aaen To Dil K Tmam Khano K Raz Tak Keh Dain,
Chupanay Pay Aaen To Ye Tak Na Btaen K Khafa Q Hain,
Naraz Honay Pay Aaen To Sans Tak Na Lenay Dain,
Mnanay Pay Aaen To Apni Sanso Ko War Dain,
Bus Dost Zindagi Mein Nahi Mila Krtay Blkay,
Zindagi Doston Men Mila Krti Hy….

Sunday, October 9, 2011

Dosti-31



Dost ek sahil hai
tuffano ke liye,

Dost ek aaina hai
armaano ke liye,

Dosti ek Khawaahish hai
paana ke liye,

Dosti-30



Kaho usi se jo na kahe kisi se!
Maango usi se jo dede khushi se !
Chaho use jo tumhe mile kismat se !
Dosti karo usi se jo hamesha nibhaye hasi se..

Dosti-29



Dosti ke bhi apne andaz hote hai,
Jagti aankho me khwab hote hai,
Soyi aankho me sailab hote hai,
Kyo ki dosti k rishte to nayab hote hai…….

Dosti-28



Aao Ab koi Dost Aisa Banaya jaye
jise Palkon pe Sajaya jaye
Rahe uska mera rishta kuch is tarha ke,
vo rahe Bhukha toh humse Bhi kuch khaya na jaye…

Dosti-27



Dil ki hasti mit gayi hoti,
aur sare dard badh gaye hote,
zindagi aap jaise dosto ki amanat hai,
varna hum to kab ke bikhar gaye hote..

Dosti-26



Phool bankar muskrana zindagi hai…,
Muskara ke Gum bhulana zindagi hai…,
Milkar log khush hote hai to kya hua….,
Bina mile dosti nibhana bhi zindagi hai…

Dosti-25



Na khwabon me dekha, na nazaron me dekha,
Hazaron me ek humne tum hi ko dekha,
Gum dene wale to har pal hai yahan,
Har pal khushi dene walon me ek aap ki dosti ko dekha…

Dosti-24

 

Zindagi me Jab Maayus hue Hum…..
To Socha k kya paaya kya khoya…….
Khone ka to hisaab na laga paaye…
Yaad raha to bas itna…ke…
Zindagi se bhi pyara..Aap jaisa Ek dost Paaya…

Dosti-23



Dost hai to Aansuo ki bhi shaan hoti hai,
Dost na ho to Mahfhil bhi Kabristaan hoti hai,
Sara khel to dosti ka hi hai,
Warna mayyat aur barat ek jaisy hoti hai.

Dosti-22



Aapki dosti ki ek nazar chahiye;
Dil hai beghar use ek Ghar chahiye
Bas yun hi saath chalte raho ae dost;
Yeh Dosti hume umar bhar chahiye.

Dosti-21



Har rishtonke mukaam nahin hote…
Dil ke rishtonke koi naam nahin hote……
Paaya hai Aapko dil ki roshni se……….
Aap jaise dost kisike liye Aam nahin hote…….. .

Dosti-20



Geet ki zaroorat mehfil mein hoti hai
Pyar ki zaroorat dil mein hoti hai
Bin dosti ke adhuri hai yeh zindagi
Kyunki dost ki zaroorat har pal mehsus hoti hai.

Dosti-19



Tum hanso to khusi mujhe hoti hai,
Tum rodo to aankhein meri roti hain.
Mehsoos kar ke dekh lo…..
Dosti aise hi hoti hai…

Dosti-18




Mila wo dost mujhe shabnam ki tarah
jiski nami se hum phisalte gaye
aur jiski tareeki mein hum jeete gaye
aur jab jaanake wo tareeki mein hai
to jal kar use roshni di samma ki tarah…

Dosti-17



Har Koyi Pyar Ke Liye Tarapta Hai…
Har Koyi Pyar Ke Liye Rota Hai….
Mere Pyar Ko Galat Mat Samajh Na….
Pyar To Dosti Mein Bhi Hota Hai.

Dosti-16



Kuch Khawab Suhaany Toot Gay,
Kuch Yaar Purany Rooth Gaye.
Kuch Zakham Lagy Thy Chehry Par,
Kuch Ander Se Hum Toot Gaye.
Kuch Hum Thy Tabiyat K Saada,
Kuch Log Begany Loot Gaye.
Kuch Apno Ne Badnaam Kiya,
Kuch Ban Afsany Jhoot Gaye.
Kuch Apni Shikasta Nao Thi,
Kuch Humse Kinaary Choot Gaye.

Dosti-15


Suraj kiyon nikla tha jab doob jana tha dost kiyon baney the jab door jana tha.

Dosti-14



Dosti ki tadap ko dikhaya nahi jaata,
Dil me lagi aag ko bujhaya nahi jaata,
Kitni bhi duri ho dosti me,
  • Aap jaise dost ko bhulaya nahi jaata.

Dosti-13



Ye kis ny keh diya tum sy k Bazi haar bethy hum….
Ay Dost
Mohhabat Mein luttanay ko abhi to jaan baqi he…..

Dosti-12


yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
log yuun dekh kar hans dete hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise
ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa
yuun na mil hamse Khudaa ho jaise
maut bhii aaii to iss naaz ke saath
mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise
aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise
hichkiyaan raat ko aatii h...

Dosti-11


Rutho na a dost
Kabhi Dosto se
Do pyase dil aik huwe hain aise
Koi Khaas Nahi
Dosti Nibhayenge
Zindage Har Pal Khas Nahi Hoti
Dosti Ka Haq Hum Youn Ada Kartay Hain
Guzray Ghee Zindaghee Aay Dost
Yun Dosti K Naam Ko Rusvaa Na Kijiye
Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai
Main Muntazir Hoon Barish Ka

Dosti-10



“Maana” k Me Ghareeb Ho0n Ye Baat Sach t0 Hy Lekin- “wasi” Tu Agar, Apna Bna Ly Mujhk0 t0- Tery sab Gham khareed Sakta Ho0n….

Dosti-9


Rutho na a dost k fir! roth jany waly maan b jaien tu manany waly thak sy jaty hyn aur hamary sath zindagi k saffer mien chalny k qabil nahi rehty khafa na ho a sathi k fir! khafgion k mosum dyr tak nahi telty dil-o-jaan mien,ruh k ander bohat hi bohat hi door ja [...]

Dosti-8


Ye to khubsurat dosti ka nata hai,
Jo bina kisi shart ke nibhaya jata hai,
Rahe duriya to parwah nahi,
Kyon ki dosti ko har pal dil me basaya jata hai…

Dosti-7


Wada Karte Hain Dosti Nibhayenge
Koshish Yahi Rahegi Tujhe Na Satyaenge
Zarurat Pade Toh Dil Se Pukarana
Mar Bhi Rahe Honge To Mohlat Lekar Aayenge
 

Saturday, October 8, 2011

Dosti-6


Zindage Har Pal Khas Nahi Hoti
Phuloon K Khusbu Hamesha Pass Nahi Hoti
Milna Hamare Taqdeer Me Likha Tha
Warna Itni Payari Dosti Hamare Itefaq Nahi Hoti

Dosti-5


Dosti Ka Haq Hum Youn Ada Kartay Hain
Dost Ke Naam Per Jan Fida Kartay Hain
Tumhey Phool Ka Zakham Bhi Na Anay Pae
Allah Say Roz Yeh Dua Kartay Hain

Dosti-4


Taray Baghair Na Guzray Ghee Zindaghee Aay Dost
Main Kya Karoon Gha Zamanay Ki Dostee Laiker

Dosti-3

Kis kadar Khoob hai
saadgi aap ki
Humain aj bhi yaad hai
"Dosti" app ki
Jab Bhi milay hain
fursat kay lamhay
dil ne mehsoos ki hai
kami app ki

Dosti-2


Dosti achhi ho toh rang laati hai
Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai
Dosti naadan ho toh toot jaati hai
Par agar dosti apne jaisi ho

Toh itihaas banaati hai

Dosti-1


Dard jitna saha jaye utna hi sehna
 Kisi k dil ko jo lag jaye wo baat na kehna
Miltey hain humarey jaisey dost bohat kam

Is liye hum se kabhi alvida na kehna