Saturday, November 5, 2011

Dosti-50






Wo Jo Badla Tu Roobroo Hum Bhi Badal Gy
Wafa Ki The Us Se Bandgi Tu Nahi
Zindgi Tu Faqt U He Kut Jay Ge,
Hasrt-E-Zindgi Tha Wo
Shart-E-Zindgi Tu Nahi.

Dosti-49




Chirag-e-Shab Ko Jese
Aandhiya’n Achi Nahi Lagti’n
Kuch Aise Hi Humei’n
Khush-Fehmiya’n Achi Nahi Lagti’n
Jinhe’n Sonay k Pinjrey Mein
Ghiza Mil Jaye Chaandi Ki
Unhei’n Phir Umr Bhar
Aazadiya’n Achi Nahi Lagti’n
Wo Jin K Dil Mein Fasl-e-Gham
Ne Derey Daal Rakhy Hon
Unhe’n Phoolo’n Pe Bethi Hui
Titliya’n Achi Nahi Lagti’n
Mera Dil Chahta Hy Unhe’n
Aaena Dikhao’n MOHSIN
Wo Jin Ko Doosro’n Ki
Khoobiya’n Achi Nahi Lagti’n … !!!

Dosti-48




wo jate jate apni ahat de gaye
in soyi akhome apna sapna de gaye
rahat milti thi unke anese
fir bhi wo tanha kar gaye…..

Dosti-47


Mein Bhool Jaoon Tumhein Ab Yehi Munasib Hai,
Gar Bhulna Bhi Chahoon To Kis Tarah Bhuloon?
K Tum To Phir Bhi Haqeeqat Ho Koi Khwab Nahi,
Yahan To Dil Ka Ye Aalam Hai Kya Kahoon
Bhula Saka Na Ye Wo Silsila, Jo Tha He Nahi,
Wo Aik Khayal Jo Awaz Tak Gaya He Nahi,
Wo Aik Baat Jo Mein Keh Nahi Sake Tum Se,
Wo Aik Rabt Jo Hum Mein Kabhi Raha He Nahi,
Mujhe Hai Yaad Wo Sab Jo Kabhi Hua He Nahi,
Agar Ye Haal Hai Dil Ka To Koi Samjhaye,
Tumhein Bhulana Bhi Chahoon To Kis Tarah Bhuloon?

Dosti-46

Bheegi AankhOn WaLi Larki
Meri Taraf Jab Daikhti Hai Tu
Mann Main JaL ThaLL Kar Jati Hai
Mujh Ko PagAL Kar Jati Hai.

Dosti-45





Suno … !
”MOHABBAT” Yun Nahi Hoti
Kisi Ka “NAAM” Lene Se
Kisi Ko “THAAM” Lene Se
Kisi k “PAAS”Jane Se
Kisi k “DUUR” Jane Se
MOAHBBAT Ka Janam Nahi Hota
Jab Tak Dilo’n Ka “MILAN” Nahi Hota
Suno … !
“MOHABBAT” Yun Nahi Hoti
Ye “RABTA” Hy Dil Se Dil Ka
Ye “NAAM” Hy Betarteeb
“DHARKANO’N” Ka
MOHABBAT Tou Aankho’n Se
“BAYAN” Hoti Hy
Ye Tou Dil Ki “ZUBAAN” Hoti Hy
Suno .. !
“MOHABBAT” Yun Nahi Hoti … !

Dosti-44




Uski mohabbat ka abhi nishan baki hai
Naam hothon par hai, Jaan abhi baki hai
Kya hua agar dekh kar muh pher leta hai
Tasalli toh hai ki Chehre ki pehchaan abhi baki hai

Dosti-43





Bus itna jan lo ek shakhs say hum nay mohobbat ki,
Hmaray tootnay ka khel piyaray tum na samjho gay…….!

Dosti-42




Ishq Ne hame Benam kar Diya
Har Khushi se Anjan Kar diya
Hamne Khbhi Nahi chaha Ki Hame Ishq Ho
Par unki Ek Nazr ne Hume Nilam Kar Diya

Dosti-41




GALTI MERI THI”
Usne mujhe chaha hi nahi’
Main chahat samajh bethi.
.
“GALTI MERI THI”
.
Uski pal bhar ki muskurahat ko piyar samjh baithi
.
“GALTI MERI THI”
.
Wo to har baat par haan karta tha
Main hi iqraR samjh baithi
.
“GALTI MERI THI”
.
Usne mujhse ziyada ehmiyat di mere doston ko
Main uski ye ada mazakh samjh baithi
.
“GALTI MERI THI”
.
Usne kaha bhi tha koi or hai meri zindagi mE
Main hi khud ko uski zindagi samajh baithi
.
“GALTI MERI THI’

Dosti-40



When You fall in Love with someone,
Don’t think just start enjoying it.
Because after some time.
You will not be in position to enjoy anything.

Dosti-39




Haqiqat Ho Tum Kaise Tujhe Sapna Kahun
Tere Har Dard Ko Mein Apna Kahun
Sab Kuch Qurban Hai Mere Yaar Par
Koan Hai Tere Siwa Jise Mein Apna kahon

Dosti-38



Aaj mosam mein kuch ajeeb si baat he,
bekabu se hamare jazbat he,
ji cahta he tumko chura le tumhi se,
par mummy kehti he ki chori karma buri baat he

Dosti-37



Main uske chehre ko dil se utar deti hoon,
Main kabhi kabhi to khud ko bhi mar deti hoon,
Ye mera haq hai ke main usko thora dukh b doon,
Main chahat bhi to use beshumar deti hoon.
Khafaa woh reh nahin sakta lamha bhar bhi,
Mein bohat pehle hi us ko pukaar leti hoon.
Mujhe siwa uske koi bhi kaam nahin soojhta,
Woh jo bhi karta hai, mein sab hisaab leti hoon.
Woh sabhi naaz uthaata hai mein jo bhi kehti hoon,
Woh jo bhi kehta hai, Mein chupke se maan leti hoon.

Dosti-36



nazar se door reh kar bhi kisi ki soch main rehna…
kisi ke pass rehne ka tarika ho to aisa ho………..

Dosti-35







Kuch Khaas Dilon Ko Ishq K Ilham Hotay hain
Mohabbat Moajza Ha Moajzay Kab Aaam Hotay Han!!!!

Dosti-34





Aik Pal Ka Ehsas Bankar Ate Ho Tum
Dosre Hi Pal Khuwab Bankar Ur Jate Ho Tum
Janty Ho K Lagta Hain Dar Tanhaiyo se
Phr Bhi Bar Bar Tanha Chor jate ho Tum.

Dosti-33



Yaad aaoun to bus itni si Inayat krna,
Apne badle hue Lehje ki wazahat krna,
Tum to chahat ka shah’kar hua krte thy,
Kis se sikha hai ye Mohbat me milawat krna…