Sunday, November 10, 2013

Dosti-160


Khuda ne dost ko dost se milaaya,
Doston ke liye dosti ka rishta banaaya,
Phir khuda ne farmaya,
Dosti rahegi uksi kayam, jisne dosti ko dil se nibhaaya…

Dosti-159


Bolti hai Dosti chuprehta hai pyar
Hasti hai dosti Rulata hai Pyar
Milti hai dosti bicharta hai pyar
Phir najane log kyon karte hain pyar..?

Wednesday, September 25, 2013

Dosti-158

Dooriyon se fark nahi padta,
baat to dilon ki nazdikion se hoti hai,
Dosti aap jaise kuchh khaas logo se hai,
varna mulaqat to roj janae kitno se hoti hai …

Sunday, August 18, 2013

Dosti-157


Dosto Ki Kami Ko Pehchante Hain Hum.
Duniya Ke Ghamon Ko Bhi Jante Hain Hum.
Aap Jaise Dosto Ke Hi Sahare.
Aaj Bhi Has Kar Jeena Jante Hai Hum…

Dosti-156


Kuch rishte khuda banata hain,
kuch rishte log banate hain,
kuch log bina rishte ke hi rishta nibhate hain,
shayad wahi dost kahlate hain…!

Dosti-155


Hum khudko bhool jaye to koi gamm nahi ……
aapko agar bhool jaye woh hum nahi…….
chahte hai hum dosto ko jaan se bhi jyada…..
unke liye apni jaan bhi chali jaye to koi gamm

Dosti-154


Mana bhulna humari aadat hi sahi,
Par aako bhula de ye humare baas mein nahi,
Bhool sakenge khud ko bhi kabhi,
Par yakeen rakhna Dost App ko nahi…

Sunday, June 2, 2013

Dosti-153


Kahte hai hatho ki lakire adhuri hoto
Kismat mein mohhbat nahi hoti.
Par sach to ye hai ki hatho mein ho koi
Pyara hath to lakiro ki bhi zarurat nahi hoti …

Monday, May 27, 2013

Dosti-152


Hum wo nahi jo dil tod denge,
Thaam ker haath sath chod denge,
Hum dosti karte hai pani or machli ki tarah,
Juda karna chahe koi to hum dum tod denge…

Sunday, May 26, 2013

Dosti-151


Har gham ko khushi me badalti hai dosti,
Har ansu ko hasi mey badalti hai dosti,
Kuch log samajh nahi patey ke,
Andheri raat ka diya hai dosti..

Dosti-150


Zindagi Har Pal Khas Nahi Hoti
Phuloon K Khusbu Hamesha Pass Nahi Hoti
Milna Hamare Taqdeer Me Likha Tha
Warna Itni Payari Dosti Hamare Itefaq Nahi Hoti

Dosti-149


Do Pal Ki Dosti Ka Ye Sila Mila Muje
Zakhmo Ki Kainat Koi De Gea Muje

Gum Ker K Muje Apne Nazar K Jamal Se
Barbad Ker Gea Mera Hi Ashina Muje

Dosti-148


Dosti Ka Haq Hum Youn Ada Kartay Hain
Dost Ke Naam Per Jan Fida Kartay Hain
Tumhey Phool Ka Zakham Bhi Na Anay Pae
Allah Say Roz Yeh Dua Kartay Hain

Dosti-147


Log Manzil ko Muskil samajhte hai,
Hum Muskil ko Manzil samajhte hai,
Bada fark hai Logo main or Hum main,
Log Zindagi ko Dost or hum Dost ko Zindagi samajhte hai…

Wednesday, May 22, 2013

Dosti-146


Khushi Hai Toh Sath Gam Bhi Hote Hain
Gam Toh Zindagi Mein Har Dam Hote Hain
Dosto Ke Jo Dard Baant Le..
Aese Dost Zindagi Mein Bohat Kam Hote Hain!

Dosti-145


Hum Woh Phool Hain Jo Roz Roz Nahi Khiltay
Yeh Wo Hont Hain Jo Kabhi Nahin Siltay
Hum Se Bichro Ge To Ehsas Hoga Tumhain
Hum Wo Dost Hain Jo Roz Roz Nahin Miltay…

Dosti-144


Zindagi K Tufano Ka Sahil Hai Teri Dosti
Dil Ke Armaano Ki Manzil Hai Teri Dosti
Zindagi Bhi Ban Jayegi Apni To Jannat
Agar Maut Aane Tak Sath De Teri Dosti…

Dosti-143


Dard Dil Ka Door Se Samajhte Hain Dost
Muskaan Dete Hain, Dard Door Karke
Sath Chhod Deti Hai Zindagi Ek Din
Sath Zindagi Se Zyada Nibhaate Hain Dost!

Dosti-142


Takdeer ne chaha takdeer ne bataya,
Takdeer ne humko aur tumko milaya,
Kushnasib the hum ya wo pal,
Jab aap jaisa dost meri zindagi me aaya…

Sunday, March 31, 2013

Dosti-141


"DIL" Tootna Sazaa Hai Muhabbat Ki,
"DIL" Jodna Ada Hai Dosti Ki.
Maange Jo Kurbani Woh Hai Muhabbat,
Joh Bin Maange Ho Jaye Kurbaan Woh Hai Dosti Hamari…

Dosti-140


Hasna Humara Kisi Ko Gawara Nahi Hota
Har Musaffir Zindagi Ka Sahara Nahi Hota
Milte Hain Buhat Log Is Tanha Zindagi Mein
Par Koi Dost Tum Sa Pyara Nahi Hota…

Dosti-139


Wada Karte Hain Dosti Nibhayenge
Koshish Yahi Rahegi Apko Na Satyaenge
Zarurat Pade Toh Dil Se Pukarna
Maar Bhi Rahe Honge To Mohlat Lekar Aayenge…

Dosti-138


Dillagi Dosto Ke Naam Hoti Hai
Dilldari Dosto Ki Shaan Hoti Hai
Kahi Bhi Raho Par Rahoge Dil Me Mere
Yahi Sachchi Dosti Ki Pehchaan Hoti Hai…

Dosti-137


Khushiya Itni Ho K Aankhon Me Ansu Jam Jaye
Lamhe Ho Itne Hasin K Waqt B Tham Jaye
Dosti Nibhayenge Hum Apse Is Tarha
Kay Saath Guzra Har Pal Zindagi Ban Jaye..

Dosti-136


Sadgi Main Ek Ada Itni Pyari Lagi
Apki Dosti Humko Subse Nirali Lagi
Yeh Na Tootay Kabhi Yahi Dua Hai
Kyn Ke Yahi Is Duniya Mai Hum Ko Hamari Lagi..

Dosti-135


Andhere Main Rasta Banana Mushkil Hota Hai
Tufan Main Diya Jalana Mushkil Hota Hai
Dosti Kisi Se Bhi Karna Mushkil Nahi
Magar Ise Nibhana Bada Mushkil Hota Hai..

Dosti-134


Khuda Ki Banai Qudrat Nahi Dekhi
Dilon Main Chupi Dolat Nahi Dekhi
Jo Kehta Hai Doori Se Mit Jati Hai Dosti
Us Ney Shayad Hamari Dosti Nahi Daikhi…

Dosti-133

 
 Jab Koi Khayal Dil Se Takrata Hai
Dil Na Chah Ker Bhi Khamosh Ho Jata Hai
Koi Sab Kuch Keh Ker Dosti Jatata Hai,
To Koi Kuch Na Keh K Dosti Nibhata Hai…

Saturday, March 30, 2013

Dosti-132


Jasbaat-E-Ishq Naakaam Naa Hone Denge,
Dil Ki Duniya Mein Kabhi Shaam Naa Hone Denge,
Dosti Ka Har Ilzaam Apne Sar Par Le Lenge,
Par Dost Hum Tumhe Badnaam Na Hone Denge…


Dosti-131


Aaj Khushiyon Ki Koi Badhai Dega,
Nikla Hai Chand To Dikhai Dega,
Ae Dost Dosti Ki Hai Humne Aapse,
Aapka Ek Aansu Bhi Ghira To Sunai Dega..

Sunday, March 10, 2013

Dosti-130



Yu aaino se kab tak dil behlaoge,
Jab andhera hoga khud ko tanha paoge,
Hum jaisa dost rahe agar aapke saath,
Kasam se umar bhar tanhai ko taras jaogay.

Dosti-129



Faasle mitake dilon me pyaar rakhna,
Dosti ka rishta yunhi berkarar rakhna,
Maana ki bahut pyaare pyaare dost hain aapke,
Par un sab ke baad is nacheez ko bhi yaad rakhna…

Sunday, January 20, 2013

Dosti-128


Dosti wo nahi jo hum ek saal
mein kitno se karte hai,
Dosti to wo hai jo hum kisi ek se
kitne saalo tak rakhte hai..!!

Dosti-127


Dosti agar buri hai to hone mat do,
Ho gai to use khone mat do,
Aur agar dost ho sabse pyara to
us dost ko chain ki neend sone mat do…

Dosti-126



Itana bhi na rutho mere yaar kai
mera bhi dil toot jaye,
Hum itne bedard dost nahi hai ki
aapko dard dekar ye dost chup rah jaye…

Dosti-125


Dil Ki Hasti Bikhar Gai Hoti,
Aur Rooh Ke Zakhm Bhar Gaye Hote,
Zindagi Aap Jaisay Dosto Ki Amanat Hai,
Warna Hum To Kabke Mar Gaye Hote…

Dosti-124


Thoda Socha Hai Humne Thoda Jaana Hai Humne
Mushkil Se Magar Pehchana Hai Humne
Koi Aapke Jaisa Na Tha Na Hoga
Isliye Dost Aapko Mana Hai Humne…