Monday, March 26, 2012

Dosti-65




Koi ham-Nafs nahi hy
koi raz-dan nahi hy
faqt aik Dil tha apna
So! woh Mehrba-n Nahi hy

Kisi aur gham main itni
Khalish Nehan nahi hy
Gham-e-Dil mera rafiko
Gham-e-Rai'gan nahi hy

Meri rooh ki haqeeqet
mere anso-on se poocho
Mera majlisi tabassum
Mera Terjuma-n nahi hy

Kisi ankh ko Sada do
Kisi Zulf ko Pukaro
BaDi Dhup ParDh rahi hy
Koi Saiba-n nahi hy.

Sunday, March 25, 2012

Dosti-64



Doston ko bhul ne walo mein se hum nahi,
Sath chod ne walo mein se hum nahi,
Ye dosti to hum umar bhar nibhayenge,
Kyuki wada todne walo mein se hum nahi.

Friday, March 23, 2012

Dosti-63




Hum doston ko bhulte nahi hain
Magar yeh baat jatate nahi hain
Doston ko hamesha rakhte hain yaad
Hum bhulne ke liye dost banate nahi hain.

Dosti-62




Tujhe dekhe bina teri tasvir bana sakta hoon
Tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon
Hai meri dosti mein itna dum
Apni aankh ka aansoo teri aankh se gira sakta hoon.

Thursday, March 22, 2012

Dosti-61



Itna pyaar paya hai aap se,
Uss se zyada pane ko jee chahta hai,
Najane woh kaun si khobi hai aap mein,
Ki aap se dosti nibhane ko jee chahta hai.

Dosti-60




Khuda ne dost ko dost se milaya,
Doston ke liye dosti ka rishta banaya,
Par dosti rahegi usi ki kayam,
Jisne dosti ko dil se nibhaya..

Monday, March 19, 2012

Dosti-59




Kuch Ehsason Ke Saye Dil Ko Chhu Jate Hain
Kuch Manzar Dil Mein Utar Jate Hain
Bejan Gulshan Mein Bhi Phool Khil Jate Hain
Jab Zindagi Mein Aap Jaise Dost Mil Jate Hain

Sunday, March 11, 2012

Dosti-58



,"Dost" Us Waqt Tak "Dost"Nhi Ho Sakta,

Jb Tak K Woh Apne "Dost" Ki Izzat Ka Khayal Uski Gair Mojudgi Mein Na Rakhey.

Sunday, March 4, 2012

Dosti-57



Us Shaks Nay Mujh Ko Sada Qabil-E-Nafrat Samjha

Maine Phir Bhi Us Ki Mohabbat Ko Ibadat Samjha

Main Kisi Or Ko Soch Kar Bhi Kiya Karta

Maine Khud Ko Sada Us Ki Amanat Samjha

Maine Umar Luta Di Usay Aitibaar-E-Wafa Dene May

Haye Afsoos
 
Mere Bad Wo Shaks Meri Mohabbat Samjha.........!!!!

Dosti-56




....Mili Zindagi Hi Aisi K Zindagi Bhi Ro Pari.....

....Teri Talash Me Zalim SAZA Bhi Ro Pari....

....Tujhy Toot K Chaha Or Itna Chaha....

....K Teri Wafa Ki Khatir WAFA Bhi Ro Pari....

....Mera Naseeb,Meri Qismt,Mera Muqadar Bany Tu......

....Tujhy Hi Magty Mangty DUA Bhi Ro Pari.......

....Kitab-E-Dil Mein Tera Baab Jab Khatam Kiya......

....Khatam Kartat Kartay........

____N=_____

......Kitab Bhi Ro Pari............)