Wednesday, April 9, 2014

Dosti-167


Kuch dost zindagi me is kadar samil ho jate
hai Agar bhulana chaho to or yad aate he
bas jate he wo dil me is kadar ki
aankhe band karo to samne nazar ate he…

Dosti-166


Karoge yaad ek din dosti k zamane ko,
hum chale jaynge ek din wapis na ane ko,
zikr jab ched dega koi mehfil me humara,
chale jaoge tanhai me aansoo bahane ko…

Monday, March 31, 2014

Dosti-165



Hum khudko bhool jaye to koi gham nahi…
aapko agar bhool jaye woh hum nahi…
chahte hai hum dosto ko jaan se bhi ziyada…
unke liye apni jaan bhi chali jaye to koi gham…

Dosti-164


Faasle mita kar aapas main pyaar rakhna,.
dosti ka ye rishta hamesha barkaraar rakhna,
bichhad jaaye kabhi aapse hum,
aankhon main hamesha hamara intzaar rakhna…

Dosti-163


Dilon ko khareedne wale hazaar mil jayenge,
tumko daga dene wale bar-bar mil jayenge.
Milega na tumko hum jaisa koi,
milne ko to dost beshumar mil jayenge..

Tuesday, January 7, 2014

Dosti-162


Zindagi main naye log hardum milenge,
Kaheen ziyada to kahin kam milenge,
Aitbaar zara soch kar karna,
Mumkin nahin har jagah tumhain ‘HUM’ milenge…

Dosti-161


Hum dosti nibhana jaante hain,
Zakham kitne bhi gehre ho dava jaante hain,
Hame bhulne ki koshish na karna dost,
Hum gala dabana bhi jaante hain…