Dosti woh nahi jis main jeet ya haar ho,
Dosti koi cheez nahi jo har waqt taiyaar ho,
Dosti to woh hai jis main kisi k aane ki umeed na ho,
Lekin phir bhi Uska har waqt Intezaar ho..
Faasle mita kar aapas main pyaar rakhna,.
dosti ka ye rishta hamesha barkaraar rakhna,
bichhad jaaye kabhi aapse hum,
aankhon main hamesha hamara intzaar rakhna…
Dilon ko khareedne wale hazaar mil jayenge,
tumko daga dene wale bar-bar mil jayenge.
Milega na tumko hum jaisa koi,
milne ko to dost beshumar mil jayenge..
Kuch dost zindagi me is kadar samil ho jate
hai Agar bhulana chaho to or yad aate he
bas jate he wo dil me is kadar ki
aankhe band karo to samne nazar ate he…
Karoge yaad ek din dosti k zamane ko,
hum chale jaynge ek din wapis na ane ko,
zikr jab ched dega koi mehfil me humara,
chale jaoge tanhai me aansoo bahane ko…