Tuesday, November 15, 2016

Dosti-197


Milna bichadna sab kismat ka khel hai,
Kabhi nafrat to kabhi dilo ka mail hai,
Beek jata hai har rishta duniya main,
Sirf dosti hi yaha “NOT FOR SALE" hai.

Dosti-196


Zindagi lehar thi aap sahil hue,
Na jaane kaise hum aapki dosti ke qabil hue,
Na bhulenge hum us haseen pal ko,
Jab aap hamari choti si zindagi main shamil hue...

Dosti-195


Darte hai aag se kahi jal na jaye,
darte hai khuwab se kahin toot na jaye,
lekin sabse zyada darte hai aapse,
kahin aap hume bhool na jaye...

Dosti-194


Na jane saloon baad kaisa sama hoga,
Hum sab doston main se kaun kaha hoga,
Phir agar milna hoga to milenge khwabon main,
Jaise sukhe gulab milte hai kitabon main...

Dosti-193


Dosti main ankhe to dil ki zuban hoti hai,
Sachi dosti to sada bezuban hoti hai,
Dosti main dard mile to kya ghabrana,
Suna hai dard se dosti jawan hoti hai.

Dosti-192



Bin Baat Ke Hi Roothne Ki Aadat Hai,
Kisi Apne Ka Saath Paane Ki Chahat Hai,
Aap Khush Rahe, Mera Kya Hai..
Mai To Aaina Hu, Mujhe Tootne Ki Aadat Hai..!

Dosti-191


Hakikat muhabbat ki judai hoti hai,
Kabhi kabhi pyar main bewafai hoti hai,
Hamare taraf hath badakar to dekho,
Pata chalega ki dosti main kitni sachai hoti hai