Ae dost kabhi mujhe bhula na dena….
is hanste hue chehre ko kabhi rula na dena…….
kabhi kisi baat per khafa ho bhi jao……
par mujhse door hokar mujhe judai ki saza na dena…..
Koi Kehta Hai Dosti Nasha Ban Jaati Hai, Koi Kehta Hai Dosti Saza Ban Jaati Hai, Par Dosti Agar Sachay Dil Se Karo Toh Dosti Jeene Ki Wajah Ban Jaati Hai…
Jab se aapko jana hai,
Jab se aap sa dost paya hai,
Har dua me aap ka naam aaya hai,
Dil karta hai punchu us rab se ke,
Kya itna pyara dost sirf mere liye banaya hai….
Dosti Ke Bhi Kuch Andaaz Hote Hain,
Jaagti Aakhoon Me Bhi Kuch Khwaab Hoten Hain,
Zaroori Nahin Ke Gham Me Aansoo Nikle,
Muskurate Aakoon Me Bhi Sailaab Hote Hain…
Jo dil ke karib hi nahi saanso me base ho,
Dost sache agar sath ho to roya nahi karte.
Jo ho jeene ki wajah vo har pal yaad aate hai,
Gum me bhi sukun de ese doston ko khoya nahi karte…